Seo kya hota hai aur seo ka full form kya hai
Aaj kl jo jo internet se paisa kamana chahta hain unhe SEO ke baare me pata hona chahiye ki ve kya hain or kaise kaam karta hain kyuki aaj kal seo youtube se lekar Blogging har field me iska prayog kiya jata hain. Toh aaj hum apko seo ke bare me batane wale hain ki seo kya hain.
Sari badi badi website aur online companies SEO par nirbhar hai. Aur company apni website ka SEO karwane ke liye lakho rupee paani ki tarah baha dete hai. Kyuki jitna achhe se website ka SEO kiya jayega utna hi wo 1st page par rank karegi.
SEO ka Full Form kya hota hain?
SEO ka Full Form SEO ka pura naam Search Engine Optimization hain.
Internet aaj bhi bahut saare search engines maujud hain. Jese Yahoo, Bing, Yandex, DuckDuckGo, par phir bhi aaj bhi sabse zayda prayog kiya jane wala Google hain. Kyuki lagbhag sare log hi Google par hi search karte.
SEO ka itna mehtaw hain ki internet par lakho site SEO ka istemal kar ke apni site ko Google par rank karwati hain.
Apko SEO padhne me chota sa lag raha hoga par ek website ka SEO karna bahut hi zayda kathin hain kyuki SEO kar ke aap dusri websites ko takkar de kar apni website ko rank karwate hain. Aur agar kisi ko SEO ke bare me nahi pata toh uske liye wo bahut hi zayda muskil kaam hain kyuki bina seo ki jaankari ke aap apni website ka seo nahi kar sakte.
SEO kyu zaruri hain
Aaj kal ke time me seo bahut hi zayda zaruri hain kyuki internet ab duniya ki sabse badi zarurat me se ek hain. Yaha par log apne service aur saman bech aur kharid sakte hain.
Apka saman or service bechi ya kharidi ja sake uske liye apki website par traffic hona zaruri hain. Traffic se mera matalab hain zayda log apki website par aaye taki aap unko apni service bech sake. Iske liye apko apni website ka SEO karna bahut zaruri hain.
SEO ke liye log apni website ko Google par rank karwane ke liye lakho rupee SEO Expert par kharch kar dete hain. Agar apko seo ke bare me pata hain aur uska achha gyaan hain toh aap khud apni website ka seo kar ke apni website ko Google search engine par rank karwa sakte hain.
SEO ke sath sath apko apni website par achha content likhna bhi zaruri hain kyuki agar apki website Google ke pahle page par bhi rank kar gayi or apka content achha nahi hua toh Google apki website ki ranking gira dega. Isse ye pata chalta hain ki SEO apke blog, website, channel ke liye kitna zaruri hain.
Nishkarsh
Aaj humne apko bataya hain ki SEO kya hain aur kaise kaam karta hain.