GDP kya hain
Ek tay vaqt me kisi bhi desh ya arthavyavstha me tiyar hone wale sabhi utpad aur sevao ko agar mila de aur fir uski kimat bazar ke mautabik lagaye to usse hi us desh ki arthavyavstha ki GDP aur hindi me sakal gharelu utpad kaha jata hain.
Ek saal me ek desk me jitna utpadan hua jo samagri, kheti, udyog, sevao ka kharch aur sath aap jod di jiye ki kitna apne niryat (Export) kiya usme se aap nikal di jiye kitna apne aayat (Import) kiya ye karna ke baad jo aakada ayega usse kehte hain GDP sakal gharelu utpad.
Aur agar isme se kar (Tax) nikal denge toh Hume NET Domestic Product ka pata chal jayega.
GDP ka hisab kaise lagaya jata hain?
Ab hum apko ye samjhayenge ki kisi desh me GDP ka hisab kaise lagaya jata hain.
Maan lijiye ek saal me kisi desh me 100 Smartphones bane aur unki kimat hain ₹1000
Toh humari GDP hui
100×1000 = ₹ 100000
GDP kaise maapte hain aur kis arthashastri ne aur kis desh me GDP maapne ki prakriya shuru ki thi?
Dusre vishvyudh se phele america samet puri duniya bhayanak mandi ki chapet me aayi us samay pehli baar arthashastriyo ko GDP ka idea aya.
1900 me americi arthashastri simon ne americi sansad me apni report national income 1929 to 35 pesh ki. Isme unhone har vyakti, company, sarkar jisne bhi desh ki arthavyavstha me yogdan diya unko isme shamil kiya.
Aur fir yahi se GDP system ki shuruat hui.
Bharat me bhi 1950 ki GDP ke adhar par arthavyavstha mapi jati hain.
GDP maapne ke fayda kya hain?
Kisi desh ki GDP se uski arthavyavstha ka pata chalta hain. Isliye usse vikas-dar bhi kaha jata hain.
GDP mapne me kya kamiya hain?
GDP ki tamam khubiyo ek taraf hain par iske kamiyo ko lekar humesha se sawal uthye rahe hain.
50 saal pahle purv amrici rashtrapati umidvar RF kennedy ne kisi desh ki tarrki ko mapne wale paimane ke bare me kamiya ginwai thi.
- GDP me baccho ki sehat ko shamil nahi kiya jata aur na hi unki siksha ki quality ko aur na hi khel se milne wali khushiya ko GDP ke mapne wale paimaine ke bare me kamiya ginwai thi.
- GDP humari kahaniyo ki khoobsoorat ko bhi shamil nahi karta aur na hi humare shadi shuda jeevan ki majbotiyo ko.
- Isme humari bhudhi, imandari, saahas ya desh ke liye samman ya payar ko koi jagha nahi di jaati.
- Ye GDP har chiz ginta hain sivay un chijo ke jo humare jeevan ko behatrin banati hain.