Online fastag recharge kaise kare
Aaj hum apko batane wale hain ki fastag ka recharge kaise kare. Kyuki fastag ka recharge khatam hone par apko isko recharge karwana padega taki apko toll plaza par koi preshani na ho.
Fastag kya hai aur kaise banvaye iski jankari agar apko abhi tak nahi hain toh aaj aap iske bare me jaan sakte hain. Agar aap bina fastag ke toll ka bugtan karenge toh apse dugna tax liya jayega.
Toll par karne ke liye uski fees dene ki prakriya online ho gayi hain isliye apko fastag ka recharge bhi online karna padega.
Online Fastag kaise banaye
online fastag banwane ke liye aap apne nazdiki bank me jaa kar apni car ka fastag banwa sakte hain ya aap MyFastag App se bhi apna fastag bana sakte hain.
Online Fastag banwane ke liye aap upar diye hue tarike ka istemal kar ke apna fastag prapat kar sakte hain. Fastag ki wajha se apko toll par zayda der rukne ki zarurat nahi hain aur aap is fastag ko apni windscreen par lagana hoga.
Fastag ka recharge kaise kare
Fastag ka recharge aap government ki banai hui app FASTag ke davara kar sakte hain. Is app me apko apna fastag ka number dalna hoga login karne ke liye apko waha par apke fastag se sambhandit sari jaankari mil jayegi. Aur is app se hi aap apna fastag ka recharge kar sakte hain.