Fastag kya hota hain jaankari hindi me
1 December se bharat me naya rule lagu kiya gaya tha is rule me ye tha ki us din se toll se guzarne wali sari 4 pahiye wali gadi par fastag laga hona zaruri hain.
Aur jis kisi ne bhi apni gadi par gadi par fastag nahi lagwaya hoga un sab se dugna toll vasula jayega.
Fastag ka rule lana isliye bhi zaruri tha kyuki toll plaza par bahut badi badi line lago hoti thi aur toll par karne ke liye ghanto lag jate the. Isliye samay bachane ke liye toll plaza par fastag ki Technology lana bahut zaruri tha.
Ab fastag lagne ke baad se apko bhi zayda takleef nahi hogi kyuki phale hume toll ke paise katwane ke liye toll par rukna padta tha par ab sab kaam fastag ki wajha se online ho gaya hain.
Iski wajha se digital payment ko bhi bhadava milega aur hum lambi line se chutkara paa sakhenge.
Fastag ko 1 december se shuru kar diya tha hain isliye apke liye ye janna bahut zaruri hain ki fastag kya hain aur fastag ko kaise banaya jata hain.
Fastag kya hain?
Fastag ek nayi technology hain jiski madad se toll se guzarne par payment automatically ho jati hain. Aur wo payment apke bank account ya wallets se kat jaati hain.
Fastag technology ek aisi technology hain jiski madad se aap bina toll palaza par ruke apni payment kar denge aur bina kisi pareshani ke toll par kar lenge.
Aur iski madad se toll palaza se hone wali income ka bhi sahi akalan mil payega
Nishkarsh
Aaj humne apko bataya hain ki fastag kya hota hain aur iski puri jankari humne apko hindi me di hain.