Instagram Reels kya hain aur iska upyog kaise kare
Instagram ne reels ke naam se apna ek naya feature launch kiya hain. Phele ye feature bhar ke desho me launch kiya gaya tha par tiktok ke band hone ke baad hi isko Tiktok par launch kar diya hain.
Reel bilkul tiktok ke saman hain or isme bhi aap tiktok ki tarah 15 sec ka video shoot kar sakte ho.
India chautha desh hain jaha par reels ko launch kiya gaya hain or isse phele Brazil, France, Germany me launch kiya gaya tha.
Instagram ne prominent music ke sath partnership ki hain apne reels feature me best music aur sound add karne ke liye.
Instagram Reels kaise banaye
- Reels ko banane ke liye apko camera ke option par click karna hoga fir apko usme se reels ko select karna hoga or reels ko select karne ke liye aap reels ke logo par bhi click kar sakte hain.
- Fir aap reels ke liye 15 sec ka video record kar sakte hain ya fir apni mobile gallery me se koi bhi ek video clip ko add kar sakte hain.
- Aap apni reels me effects bhi add kar sakte hai.
- Aur aap isme video ki speed fast and slow bhi kar sakte hain. Ye wala effect apne phele tiktok me bhi dekha hoga.
- Apni reels videos ko aakarshit banane ke liye aap isme kuch or AR effects bhi add kar sakte hain aur apni reels ko dusro se behtar bana sakte hain.
- Tiktok ki tarah saman isme bhi aap timer ka prayog kar sakte ho.
Instagram Reels ko download kaise kare
Filhal ke liye Instagram Reels download nahi kara ja sakta. Ye download feature abhi Instagram me nahi dala hain or na hi isko kisi dusre aaps ya tools ki madad se download kiya ja sakta hain.
Reels ki madad se Instagram par famous kese ho sakte hain
Agar aap roz Instagram Reels me apna khud bana hua content daloge toh aap famous ho sakte ho.
Sabse pheli baat toh ye hain ki apko apna khud ka or original content banana hoga jo aaj tak kisi ne nahi dekha ho or jo logo ka manoranjan kare. Kyuki log purana or bekar content dekhna pasand nahi karte hain.